aahe.n na bharii.n shikave na kie
- Movie: Zeenat
- Singer(s): Noorjahan, Kalyani, Zohrabai Ambalewali
- Music Director: Mir Saheb
- Lyricist: Nakshab
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: 1945, 1940s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aahe.n na bharii.n shikave na kie
kuchh bhii na zabaa.n se kaam liyaa
is dil ko paka.D kar baiTh gae
haatho.n se kalejaa thaam liyaa
puuchhaa jo kisii ne haal to ham
kuchh kah na sake kuchh kah bhii gae
roke to bahut aa.Nsuu lekin
kuchh ruk bhii gae kuchh bah bhii gae
afsaanaa kahaa aur lab na hile
ashko.n se jahaa.N kaa kaam liyaa
rone se bhalaa kyaa dil rukataa
duniyaa ko aur ta.Dapaataa
sach puuchhiye ye to Kair huii
mahafil me.n tamaashaa ban jaataa
kuchh aap adaae.n rok gae
kuchh zabt se ham ne kaam liyaa
vo laakh tumhaare zulm sahe
par aa.Nkh se aa.Nsuu bah na sakaa
biimaar-e-mohabbat ai naKashab
kuchh aur to mu.Nh se kah na sakaa
ik ThaNDii sii lambii aah bharii
chupake se kisii kaa naam liyaa
aahe.n na bharii.n ...
Comments/Credits:
% Transliterator: David Windsor% Editor: Rajiv Shridhar , Tabassum Hijazi % Date: 10/25/1996