aaj mai.n javaan ho ga_ii huu.N
- Movie: Main Sundar Hoon
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Shankar, Jaikishan
- Lyricist: Anand Bakshi
- Actors/Actresses: Mehmood, Biswajeet, Leena Chandavarkar
- Year/Decade: 1971, 1970s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aaj mai.n javaan ho ga_ii huu.N
gul se gulistaan ho ga_ii huu.N
ye din ye saal ye mahinaa o miTThuu miyaa.N
bhulegaa mujh ko kabhii na
aaj mai.n ...
Dagamagaa rahe hai.n paa.Nv aise
chal rahii huu.N mai.n havaa me.n jaise
zulf ye bikhar ga_ii hai kaise
mai.n to pareshaan ho ga_ii huu.N
aaj mai.n ...
mai.n to ik qasam thii TuuTii kaise
jis ne chain luuTaa nii.nd luuTii
jis kii baat par mai.n huu.N ruuThii
us pe meharabaan ho ga_ii huu.N
aaj mai.n ...
Comments/Credits:
% Transliterator: Nita % Date: 17 February 2000