Browse songs by

diyaa jalaakar aap bujhaayaa

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

diyaa jalaakar aap bujhaayaa-2
tere kaam niraale, niraale
dil to.D ke jaanevaale-2
diyaa jalaakar aap bujhaayaa

phuul pavan aur nadii kinaaraa
karat ishaare saa.Njh kaa taaraa
vyaakul hai man meraa aajaa-3
o chho.D ke jaanevaale
dil to.D ke jaanevaale -2
diyaa jalaakar aap bujhaayaa

(Dol rahii hai man kii nayyaa
kahaa.N chhupe ho aao Kevayyaa) -2
Gam kaa tuufaa.N aane ko hai
chhaaye baadal kaale -2
o chho.D ke jaanevaale
dil to.D ke jaanevaale
diyaa jalaakar aap bujhaayaa

Comments/Credits:

			 % Date: 1 Aug 1996
% Comments: Album - NoorJehan - Magic Moments
% Producer:Prafulla pictures
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image