kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa
- Movie: Adhikar
- Singer(s): Pankaj Mullick, Pahari Sanyal
- Music Director: Timir Baran
- Lyricist: Munshi Arzoo, Rasheed
- Actors/Actresses: P C Barua, Jamuna Barua, Pankaj Mullick
- Year/Decade: 1938, 1930s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa -2
swarg bharii wo prem kii rainaa -2
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa
( bagiyan me.n mil-jul ke jaanaa
phuulo.n kaa wo mahal banaanaa ) -2
dulhaa-dulhan ban byaah rachaanaa -2
aa.Nchal Dhal ko jan me.n phiranaa
pyaaraa sapanaa
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa
( haay achaanak hu_aa saveraa
jag maayaa ne man ko gheraa ) -2
uja.D gayaa wo rain baseraa -2
TuuT gayaa ha.Nso.n kaa Dainaa -2
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa
% Dainaa: feather
swarg bharii wo prem kii rainaa -2
kahaa.N wo bachapan kaa pyaaraa sapanaa
( ab wo din hai.n na prem kii raate.n
yaad magar hai.n pyaar kii baate.n ) -2
man lene kii bholii ghaate.n -2
laaj bhare tore do nainaa -2
pyaaraa sapanaa
Comments/Credits:
% Song Courtesy: http://www.indianscreen.com