taraa raa raa ram mere dil me.n sanam
- Movie: Hoor-e-Arab
- Singer(s): Lata Mangeshkar
- Music Director: Ghulam Mohammad
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses: Shashikala, Pradeep Kumar
- Year/Decade: 1955, 1950s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
( taraa raa raa ram
mere dil me.n sanam ) -2
tuu baad-e-sabaa.N kyaa jaane
( jaane naa ko_ii
mere dil kii lagii ) -2
har saa.Ns me.n hai.n afasaane
taraa raa raa ram
( ek sitaaraa
chaa.Nd se pyaaraa ) -2
chhoTe se dil me.n aayaa
paiGaam-e-mohabbat laayaa
shaam-e-bahaar hai
aa.Nkho.n me.n pyaar hai
dil beqaraar hai
ko_ii nahii.n pahachaane
( taraa raa raa ram
mere dil me.n sanam ) -2
tuu baad-e-sabaa.N kyaa jaane
taraa raa raa ram
aa haa haa
( dil kaa fasaanaa
lab pe naa laanaa ) -2
siikh le ko_ii hamase
hai duniyaa hamaare dam se -2
aa_ii.n jawaaniyaa.N
le ke nishaaniyaa.N
dil kii kahaaniyaa.N
pyaar ke sab diiwaane
( taraa raa raa ram
mere dil me.n sanam ) -2
tuu baad-e-sabaa.N kyaa jaane
taraa raa raa ram
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)