kahii.n ishq kaa taqaazaa kahii.n husn ke ishaare - - Talat
- Movie: non-Film
- Singer(s): Talat Mehmood
- Music Director:
- Lyricist: Shakeel Badayuni
- Actors/Actresses:
- Year/Decade: unknown
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
kahii.n ishq kaa taqaazaa kahii.n husn ke ishaare
na bachaa sake.nge daaman Gam-e-zi.ndagii ke maare
shab-e-Gam kii tiiragii me.n merii aah ke sharaare
kabhii ban gaye hai.n aa.Nsuu kabhii ban gaye hai.n taare
jinhe.n ho sakaa na haasil kabhii kaif-e-qurb-e-ma.nzil
wahii do kadam hai.n mujhako terii justajuu se pyaare
mai.n 'shakiil' unakaa ho kar bhii na paa sakaa huu.N unako
merii tarah zi.ndagii me.n ko_ii jiit kar na haare
Comments/Credits:
% Credits: U V Ravindra