pyaar kaa dard hai miiThaa\-miiThaa pyaaraa\-pyaaraa
- Movie: Dard
- Singer(s): Asha Bhonsle, Kishore Kumar
- Music Director: Khaiyyam
- Lyricist: Naqsh Lyallpuri
- Actors/Actresses: Rajesh Khanna, Hema Malini, Ranjeeta, Poonam Dhillon, Om Shivpuri
- Year/Decade: 1981, 1980s
View: Plain Text, हिंदी Unicode,
aa : pyaar kaa dard hai -2
miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa -2
ki : ye hasii.n dard hii -2
do dilo.n kaa hai sahaaraa -2
aa : ( tho.Daa-tho.Daa chain bhii hai
tho.Dii-tho.Dii beqaraarii ) -2
ki : ( aur bhii ho pyaar javaa.N
aarazuu hai ye hamaarii ) -2
do : ye milan ho dobaaraa
aa : pyaar kaa dard hai
miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa -2
ki : ye hasii.n dard hii
do dilo.n kaa hai sahaaraa -2
ki : ( mujhe milaa pyaar teraa
tujhe merii chaah milii ) -2
aa : ( naye-naye sapano.n kii
hame.n na_ii raah milii ) -2
do : ek aramaa.N hamaaraa
ki : pyaar kaa dard hai
miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa -2
aa : ye hasii.n dard hii
do dilo.n kaa hai sahaaraa -2
aa : ( roz hame.n mil ke bhii
milane kii aas rahe ) -2
ki : ( roz miTe pyaas ko_ii
aur ko_ii pyaas rahe ) -2
do : dil diwaanaa pukaaraa
aa : pyaar kaa dard hai
ki : miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa
aa : haa.N miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa
ki : ye hasii.n dard hii
aa : do dilo.n kaa hai sahaaraa
ki : do dilo.n kaa hai sahaaraa
do : pyaar kaa dard hai
miiThaa-miiThaa pyaaraa-pyaaraa -2
ye hasii.n dard hii
do dilo.n kaa hai sahaaraa -2
Comments/Credits:
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)